KHamosh jada-e-inkar bhi hai sahra bhi

khamosh jada-e-inkar bhi hai sahra bhi
aza mein pa-e-junun bar bhi hai sahra bhi

kahin bhi jaen lahu ko to sirf hona hai
ki tishna kucha-e-dildar bhi hai sahra bhi

mata-e-zist khariden ki teri samt badhen
hamare samne bazar bhi hai sahra bhi

mujhe to sari hadon se gurez karna hai
mera harif to ghar-bar bhi hai sahra bhi

yahin ye dhul yahin khushbuen bhi udti hain
ye dil ki khitta-e-gulzar bhi hai sahra bhi

na chhodta hai na zanjir kar ke rakhta hai
tera khayal ki diwar bhi hai sahra bhi

ye kya jagah hai jahan donon waqt milte hain
yahan darakht samar-bar bhi hai sahra bhi

zara si chuk se pansa palat bhi sakta hai
ki aql shahr-e-fusun-kar bhi hai sahra bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close