junun ke taur hum idrak hi se bandhte hain ki tir-o-tar ko fitrak hi se bandhte hain bayon ko shakh-e-gul-e-tar hi ras aati hai agarche ghonsle khashak hi se bandhte hain falak se nur-o-tamazat to lete hain lekin shajar jadon ko faqat khak hi se bandhte hain lahu se sarf-e-nazar ki ajab riwayat hai umid-e-nashsha yahan tak hi se bandhte hain hum apne hathon pe itraate hain magar 'arshad' tilism-e-kuza-gari chaak hi se bandhte hain