khamoshi tak to ek sada le gai mujhe phir us se aage tab-e-rasa le gai mujhe kya aankh thi ki mauj-e-baqa ki tarah mili kya mauj thi ki misl-e-fana le gai mujhe mitti ko chum lene ki hasrat hi rah gai tuta jo shakh se to hawa le gai mujhe dasht-e-junun se aai thi basti mein baad-e-shauq lauti to apne sath baha le gai mujhe ai jurat-e-farar tera shukriya ki tu rishton ke pech-o-kham se bacha le gai mujhe