khud ko jis ke liye bhulati hun kya use bhi main yaad aati hun us ka chehra kitab jaisa hai roz padhti hun muskuraati hun waise aankhen udas rahti hain dekh kar us ko jagmagati hun jaanti hun hawa mita degi main gharaunde magar banati hun ghar ki diwar hai sakhi meri main usi se gapen ladati hun aap akhbar dekhiye tab tak main abhi chae le kar aati hun samne apne aaina rakh kar roz apni hansi udati hun wo mera e'tibar hai 'rakhshan' jis se aksar fareb khati hun