KHud mujhko mere dast-e-kaman-gir se mila

khud mujh ko mere dast-e-kaman-gir se mila
jo zakhm bhi mila hai usi tir se mila

tujh ko khabar bhi hai mere inkar ka jawab
tegh-o-sinan-o-khanjar-o-shamshir se mila

gum ho gaya tha main usi dasht-e-wajud mein
main apne ism-e-zat ki taskhir se mila

ai ramz-e-agahi main tujhe khud pe wa karun
wahshat ko mere paon ki zanjir se mila

milne ki kuchh khushi na bichhadne ka khauf hai
ai meri jaan tu badi takhir se mila

dariya tamam tishna-labon ki hai milkiyyat
is mumlikat ko pyas ki jagir se mila

jo khwab meri chashm-e-zarurat ne kho diya
wo khwab mere khwab ki tabir se mila

'shahid' mere mizaj ki aashuftagi na dekh
meri udasiyon ka nasab 'mir' se mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close