khud-parasti ka nasha mujh ko chadha hai aaj-kal shauq tujh sa hone ka mujh ko hua hai aaj-kal kal talak tha jo wafa ki saltanat ka peshwa shor us ki bewafai ka bapa hai aaj-kal baghban tu kuchh sawalon ki ijazat de mujhe kis ki ghaflat se chaman ujda pada hai aaj-kal dab gai hai ru-ba-ru qazi ki chikhon ki sada rahzanon ko munsifon ka aasra hai aaj-kal aks tera ek pal bhi aankh se ojhal na ho dekh mere ishq ki ye intiha hai aaj-kal ghar bana lo tum 'urusa' aur kisi duniya mein ab dahr mein jine ka matlab hadisa hai aaj-kal