koi mausam ho nazar sud-o-ziyan jaanti hai baat jo dil mein hai beti ke wo man jaanti hai muddaten chahiyen kya hun main samajhne ke liye ye hawa aur ye faza mujh ko kahan jaanti hai teri niyyat tera mansha teri fitrat malum aankh meri teri nazron ki zaban jaanti hai zinda zehnon se guzarish hai bujhaen warna aag nafrat ki gharibon ke makan jaanti hai mausam-e-gul hai nigahon mein na rut sawan ki aaj ki nasl to aag aur dhuan jaanti hai meri nas nas mein jo tahlil hui jati hai pas baithi hui ladki ye kahan jaanti hai koi padhta hai bade shauq se 'saqi' ko padhe sari duniya mera andaz-e-bayan jaanti hai