koi soche na hamein koi pukara na kare hum kahin hain ki nahin hain koi charcha na kare raat afsun hai kahin ka nahin rahne deti din ko soe na koi raat ko jaga na kare hum nikal aae hain ab dhup mein jalne ke liye koi baadal nahin bheje koi saya na kare an-ginat aankhon mein hum jalte rahe bujhte rahe ab bhale khwab hamara koi dekha na kare hum ne ek shahr basa rakkha hai diwaron mein kaam jo dil ne kiya chashm-e-tamasha na kare koi ab ja ke zara dekhe to us mitti ko aise sairab kiya hai koi dariya na kare go faramoshi ki takmil hua chahti hai phir bhi kah do ki hamein yaad wo aaya na kare hum use ranj-e-tamanna se to bhar sakte hain aur ye dil hai ki ab koi taqaza na kare war karna hai agar hum pe to wo khul kar aae aur bhule se bhi ye kaam wo tanha na kare