kuchh apna aashna kyun ai dil-e-nadan nahin hota

kuchh apna aashna kyun ai dil-e-nadan nahin hota
ki aae ye rang gardish-e-dauran nahin hota

khushi ke waste paida hua hai kaun duniya mein
magar hum bhi ahl-e-dard ke shayan nahin hota

kabhi pabandiyon se chhut ke bhi dam ghulne lagta hai
dar-o-diwar hun jis mein wahi zindan nahin hota

wahi hai misr mein har kucha-o-bazar ki raunaq
magar har bikne wala yusuf-e-kanan nahin hota

kabhi tang aa ke us ke husn se inkar bhi kar le
koi be-kufr ke shaista-e-iman nahin hota

yaqin laen to kya laen jo shak laen to kya laen
ki baaton mein teri sach jhut ka imkan nahin hota

hamara tajraba ye hai ki khush hona mohabbat mein
kabhi mushkil nahin hota kabhi aasan nahin hota

ye wo parda hai jo doshizgi ko aur chamka de
siyah-kari se husn aaluda-e-isyan nahin hota

nigah-e-ahl-e-dil se inqalab aae hain duniya mein
yaqin rakh ishq itna be-sar-o-saman nahin hota

'firaq' ek ek se badh kar chaara-saz-e-dard hain lekin
ye duniya hai yahan har dard ka darman nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close