kufr se matlab hai na islam se

kufr se matlab hai na islam se
hai gharaz mashuq-e-khush-andam se

hai gharaz khum se subu se jam se
kaam hai hum ko mai-e-gulfam se

dafn kar ke hae kahta hai koi
qabr mein ab so raho aaram se

qaf-o-lam-o-qaf hai har dam hamein
khush adu hai waw sad-o-lam se

kya gharaz aaen ayaadat ko wo kyun
un ko kab fursat hai apne kaam se

hazrat-e-adam jo nikle khuld se
hum bhi nikle kucha-e-asnam se

chashm-e-jaanan ki ghalat tashbih hai
is ko kuchh nisbat nahin baadam se

jo halawat is mein hai us mein kahan
qand phika hai teri dushnam se

jaen hum kahiye to ai 'sabir' kahan
wasta hai ek but-e-khud-kaam se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close