takht-nashinon ka kya rishta tahzib-o-adab ke sath ye jab chahen jang kara den rustam ki sohrab ke sath zulm-o-tashaddud ke shaidai shayad tujh ko ilm nahin tere bhi sapne tutenge mere har ek khwab ke sath kankar patthar ki tamiren mazhab ka mafhum nahin zehnon ki tamir bhi kije gumbad aur mehrab ke sath qatil ban kar wo bhi khade hain aaj hamare pesh nazar hum ne jin ko izzat bakhshi ezaz-o-alqab ke sath urdu ko khud khun baha kar jod rahe hain rishte log 'ghaalib'-o-'momin' 'munshi'-o-'mulla' 'chakbast'-o-'simab' ke sath rafta rafta dub rahe hain maikhane virani mein jab se meri pyas ka rishta qaem hai zahrab ke sath aiwanon mein amn-o-akhuwwat ki jo baaten karte hain apna apna daman dekhen kashmir-o-panjab ke sath yaron ki tota-chashmi ka aakhir itna shikwa kyun 'rahbar' tum bhi kab mukhlis the khud apne ahbab ke sath