kyun sadgi se us ki takrar ho gai hai tahzib se tabiat bezar ho gai hai nikli zaban se thi chhoti si baat lekin mabain do dilon ke diwar ho gai hai kaliyan khila rahi thi shokhi nasim-asa jab tanz ban gai hai talwar ho gai hai duniya ke mashghalon mein ye ghir gaya hai aisa ab dil se baat karni dushwar ho gai hai pheri nigah mujh se jaise na jaante hon aankhon ki sai-e-akhfa izhaar ho gai hai upar tale lage hain ambar har tarah ke nagri ye hafiza ki bazar ho gai hai aai hai arz sari ab us ke daere mein takhil pa-ba-jaulan pur-kar ho gai hai hami bhari thi dil ne taghir-e-rang dekho jab tak labon pe aai inkar ho gai hai