mujh mein kitna zahr hai kauli bhar kar dekh marna to lazim hai aaj hi mar kar dekh meri mitti kab se qaid hai mujh mein tu ek din bahar aa ja aur bikhar kar dekh sola manzil kaun chadhe batlane ko niche kya hai apne aap utar kar dekh roz daraata rahta hai tu logon ko apne aap se ek din khud bhi dar kar dekh mujh ko padhna aata hai main padh lunga mere dil par ban ke naqsh ubhar kar dekh koi mushkil talkh nahin hai pine mein har mushkil ko aasani mein bhar kar dekh main aankhon ko aaina kar deta hun un ke aage baith ke aaj sanwar kar dekh