na-tawani mein bhi wo kirdar hona chahiye

na-tawani mein bhi wo kirdar hona chahiye
apne hi kandhe pe apna bar hona chahiye

ye khayal aane laga hai kis tawaqqo par tumhein
rah mein har ped saya-dar hona chahiye

shahr bhar mein sakht jaani ke liye mashhur hun
meri khatir ek na ek aazar hona chahiye

mera dushman dur tak koi nahin mere siwa
aur dushman se mujhe hoshiyar hona chahiye

ye subuk-saran-e-sahil kis qadar hain mutmain
in ke aage bhi koi manjhdar hona chahiye

phul ki patti se bhi nazuk hai kuchh dil ka mizaj
log kahte hain mujhe talwar hona chahiye

maut ke aaseb se 'raunaq' abas darte hain log
zindagi bhar zindagi se pyar hona chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close