nai tarzon se maikhane mein rang-e-mai jhalakta tha gulabi roti thi wan jam hans hans kar chhalakta tha tere us khak udane ki dhamak se ai mari wahshat kaleja reg-e-sahra ka bhi das das gaz thilakta tha gai tasbih us ki naza mein kab 'mir' ke dil se usi ke nam ki sumran thi jab munakka dhalakta tha