nashat-e-fath se to daman-e-dil bhar nahin pae

nashat-e-fath se to daman-e-dil bhar nahin pae
magar kyun haarne wale mohabbat kar nahin pae

mudawa kis tarah hoga wahan zangar-e-wahshat ka
agar kuchh aaine hum ne sitaron par nahin pae

fasil-e-shahr se aage zara sa dasht khiska tha
aur is ke baad logon ne bahut se ghar nahin pae

sukut-e-marg kya tute ki hum ne shahar se bahar
darakhton mein parinde bhi ziyaada-tar nahin pae

kisi ne faqr se apne khazane bhar liye lekin
kisi ne shahryaron se bhi sim-o-zar nahin pae

dayar-e-ishq ke paudon mein ab bhi phul aate hain
ki hum ne bhik mein 'sajid' kabhi akhgar nahin pae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close