nazar mila na sake us se is nigah ke baad

nazar mila na sake us se is nigah ke baad
wahi hai haal hamara jo ho gunah ke baad

main kaise aur kis samt modta khud ko
kisi ki chah na thi dil mein teri chah ke baad

hawas ne tod di barson ki sadhna meri
gunah kya hai ye jaana magar gunah ke baad

zamir kanp to jata hai aap kuchh bhi kahen
wo ho gunah se pahle ki ho gunah ke baad

kati hui thin tanaben tamam rishton ki
chhupata sar main kahan tujh se rasm-o-rah ke baad

gawah chah rahe the wo be-gunahi ka
zaban se kah na saka kuchh khuda gawah ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close