chale hae dam bhar ko mehman ho kar mujhe mar dala meri jaan ho kar ye surat hui hai ki aaina pahron mere munh ko takta hai hairan ho kar jawan hote hi le uda husn tum ko pari ho gae tum to insan ho kar bigadne mein zulf-e-rasa ki ban aai liye rukh ke bose pareshan ho kar karam mein maza hai sitam mein ada hai main raazi hun jo tujh ko aasan ho kar juda sar hua par hue hum na halke rahi tegh gardan par ehsan ho kar na aakhir bacha parda-e-raaz-e-dushman hua chaak mera gareban ho kar hawas aate jate rahe roz-e-wada teri yaad ho kar meri jaan ho kar buton ko jagah dil mein dete ho tauba 'jalil' aisi baaten musalman ho kar