nazdik si shai saya-e-hail se bahut dur

nazdik si shai saya-e-hail se bahut dur
manzil hai shanasai-e-manzil se bahut dur

dushwar sahi dur nahin nukta-rasi se
lekin hai ghalat-rasmi-e-rahil se bahut dur

ye ain khudi ishq ke aasar mein hai gham
pahlu se hai kam dur muqabil se bahut dur

har sahal-talab se to hai bargashta-badih
har sail-e-kaamil ke bhi hasil se bahut dur

qurbaniyan kuchh rakh de giro aisi uthe gunj
gir-pad ke jo pahunche koi mushkil se bahut dur

tari asar-e-sadma kabhi nashsha-e-tundi
khud-sanji-e-haq-sirat-e-zail se bahut dur

mashshatgi-e-shana bahut silsila-e-jumba
tah-dari-e-sad-zulf-e-awail se bahut dur

ek silsila-e-mauja-e-zanjir-e-shikan sa
ghuste hue zindan se salasil se bahut dur

ghaltida-o-pechida-o-ashufta si ek mauj
sahil ko liye zad mein hai sahil se bahut dur

sad-zawiya mehrab-e-taghayyur kam-o-afzun
idrak ke bazu-e-hamail se bahut dur

yun jaise ki har asr-e-rawan ke mutawazi
mausam ki har ek shaq ke mumasil se bahut dur

pinhan abhi kam-posh bhi mubham abhi har bar
payabi-e-mizrab rag-e-dil se bahut dur

lahut ki ek lahar su-e-karb-e-dil-e-khak
laya koi jazba kisi mahfil se bahut dur

aashob-e-qadah jasta su-e-gasht piyaada
wamandagi-e-tishna-o-sar-joshi-e-baada


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close