umr bhar kuchh khwab dil par dastaken dete rahe hum ki majbur-e-wafa the aahaten sunte rahe jab takhayyul istiaron mein dhala to shahr mein der tak husn-e-bayan ke tazkire hote rahe dip yaadon ke jale to ek bechaini rahi itni bechaini ki shab bhar karwaten lete rahe ek uljhan raat din palti rahi dil mein ki hum kis nagar ki khak the kis dasht mein thahre rahe hum 'baqa' ek ret ki chadar ko odhe der tak dasht-e-mazi ke sunahre khwab mein khoe rahe