rab ne ata kiye hain muqaddar alag alag

rab ne ata kiye hain muqaddar alag alag
hote hain shohraton ke bhi manzar alag alag

mayus wo bhi aur pareshan main bhi hun
khai bichhad ke chot dilon par alag alag

ek ghar ko apne khun se sincha tha bap ne
bete ne pal mein kar diye do ghar alag alag

do log banna chahte the mir-e-karwan
donon ki zid pe ho gae lashkar alag alag

shabnam bane hue kabhi shoala bane hue
ashkon ke bhi mizaj hain rukh par alag alag

zakhmi kiya gaya mujhe lafzon ke war se
hote hain doston ke bhi khanjar alag alag

har koi kar raha hai numaish wajud ki
dariya alag alag to samundar alag alag

andaz sirf tera nahin munfarid 'hilal'
sare sukhnawaron ke hain tewar alag alag


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close