rang lai hai meri zat se ghaflat meri

rang lai hai meri zat se ghaflat meri
mere andar mutazalzal hai hukumat meri

bechta phirta hun khud ko sar-e-bazar-e-hayat
mujh ko ruswa kiye rakhti hai zarurat meri

dubta jata hai har shakhs sar-e-sahil-e-shab
badhti jati hai magar shab se aqidat meri

aate-jate hain mah-o-mehr bashar ki zad mein
aur main khush ki darakhshan hai riwayat meri

waqt wo hai ki har ek qadr ka mafhum naya
aur be-gana-e-haalat tabiat meri

apne chehre pe sajae bhi nahin zakhm magar
dil ka aaina hui jati hai surat meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close