salib o dar ke qisse raqam hote hi rahte hain

salib o dar ke qisse raqam hote hi rahte hain
qalam ki jumbihson par sar qalam hote hi rahte hain

ye shakh-e-gul hai aain-e-numu se aap waqif hain
samajhti hai ki mausam ke sitam hote hi rahte hain

kabhi teri kabhi dast-e-junun ki baat chalti hai
ye afsane to zulf-e-kham-ba-kham hote hi rahte hain

tawajjoh un ki ab ai sakinan-e-shahr tum par hai
hum aison par bahut un ke karam hote hi rahte hain

tere band-e-qaba se rishta-e-anfas-e-dauran tak
kuchh uqde nakhunon ko bhi baham hote hi rahte hain

hujum-e-lala-o-nasrin ho ya lab-ha-e-shirin hon
meri mauj-e-nafas se taza-dam hote hi rahte hain

mera chaak-e-gireban chaak-e-dil se milne wala hai
magar ye hadse bhi besh o kam hote hi rahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close