sambhal na pae to taqsir-e-waqai bhi nahin har ek pe sahal kuchh aadab-e-mai-kashi bhi nahin idhar udhar se hadis-e-gham-e-jahan kah kar teri hi baat ki aur teri baat ki bhi nahin wafa-e-wada pe dil nukta-chin hai wo khamosh hadis-e-mehr-o-wafa aaj guftani bhi nahin bikhar ke husn-e-jahan ka nizam kya hoga ye barhami teri zulfon ki barhami bhi nahin shikast-e-saghar-o-mina ko khak rota main giran abhi mere dil ki shikastagi bhi nahin hazar shukr ki be-khwab hai sahar ke liye wo chashm-e-naz ki jo jagton mein thi bhi nahin ye zindagi hi talawwun-mizaj hai ai dost tamam tark-e-wafa teri be-rukhi bhi nahin talluqat-e-zamana ki ek kadi ke siwa kuchh aur ye tera paiman-e-dosti bhi nahin karam ki wajah na thi be-sabab khafa bhi hai wo mizaj-e-husn se ye baat dur thi bhi nahin