sath mein ji lun ya jite ji mar jaun apna sab kuchh tujh ko arpan kar jaun teri khatir chhod diya ghar-bar apna bol main kya munh le kar apne ghar jaun duniya ki sari daulat ek or karun tera sath agar paun to tar jaun dil ka kona khali khali lagta hai mil jae jo sath tera to bhar jaun mera bas ek khwab hai 'mohit' jiwan mein kuchh neki ke kaam jahan mein kar jaun