shikar ho gaya wo KHud hi is zamane ka

shikar ho gaya wo khud hi is zamane ka
jawaz dhund raha tha mujhe mitane ka

ye imtihan fan-e-azari se hai mansub
tarash lijiye patthar koi thikane ka

kabhi raha to nahin gardish-e-falak ka sath
kahan se sikha hai tum ne hunar satane ka

mere khulus ka jis ko na e'tibar aaya
fareb khata raha umr bhar zamane ka

jo ahl-e-dil hain wahi aazmae jate hain
ajib rang hai qudrat ke kar-khane ka

jo aala zarf hain malum hai unhen 'shahin'
saliqa chahiye insan ko gham uthane ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close