tirchhi nazar se dekhiye talwar chal gai

tirchhi nazar se dekhiye talwar chal gai
zakhm-e-jigar ki rah se hasrat nikal gai

mal-dal se wasl mein teri mahram nikal gai
chutki se ai pari bunat angiya ki mal gai

bulbul ko mast karti hai khushbu libas ki
shayad nasim itr-e-bahaar aaj mal gai

kanghi se itni der mein suljhai ek zulf
ai jaan aadhi raat bakhede mein dhal gai

mazmun teri zard hina ka na bandh saka
manhad ki machhli hath mein aa kar nikal gai

itna na kijiye gul-e-rukhsar par ghurur
do din ki ye bahaar hai aaj aai kal gai

andaz tere haal ki sikhi jo raat ko
tegh-e-hilal kabk par ai mah chal gai

sar se hamare phir gai shamshir-e-barq-dam
ai jaan girte girte ye bijli sambhal gai

kya saf gal hain ki na thahre nazar kahin
be-sakhta nigah hamari phisal gai

rang-e-wafa uda dil-e-sakht-e-raqib se
botal mein ye sharab na thahri ubal gai

kyun chashm-e-mast ho gae jam-e-sharab aaj
kya ho gaya jo aankh tumhaari badal gai

mazmun-e-garm par mere tana na kar sake
angusht-e-e'tiraaz harifon ki chal gai

mitti meri kharab hui rah-e-ishq mein
barbaad kar ke un ki sawari nikal gai

mujh se hi puchhta hai mera nama-bar pata
aisi firaq-e-yar mein surat badal gai

ai shokh teri dast-daraazi se nashshe mein
gardun tak aaftab ki pagdi uchhal gai

de kar mai-e-do-atisha us se lipat gaya
do aanchon mein raqib ki kya dal gal gai

jannat se bahra-war hon zafar-ganj ai 'munir'
jo jo thi aarzu mere dil mein nikal gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close