rida-e-rahat-e-kaun-o-makan odh ke dekh zamin odh ke dekh aasman odh ke dekh tilism tut chuka jab charagh-e-zulmat ka kabhi sabahat-e-nam-o-nishan odh ke dekh pada rahega kahan tak tu apne tarkash mein khadang-e-jasta agar hai kaman odh ke dekh qarib aa hi gaya hai agar wo abr-e-karam safar mein aaj yahi saeban odh ke dekh hawa-e-shahr haqiqat mein sans lete hue nigar-khana-e-wahm-o-guman odh ke dekh phir ek bar kisi jang par nikalte hue faza-e-qarya-e-amn-o-aman odh ke dekh naya libas pahanne ka waqt hai 'sajid' shikoh odh ke dekh aan-ban odh ke dekh