meri barbaadi ko chashm-e-mo'atabar se dekhiye 'mir' ka diwan 'ghaalib' ki nazar se dekhiye muskura kar yun na apni rahguzar se dekhiye jis taraf meri nazar chahe udhar se dekhiye hain dalil-e-kam-nigahi ikhtilafat-e-nazar zindagi ka ek hi rukh hai jidhar se dekhiye bharte rahte hain jahannam zindagi ke chaarasaz dushman-e-jaan hain agar gahri nazar se dekhiye mere gham-khane ke chaaron samt hain daulat-kade zindagi ki bhik milti hai kidhar se dekhiye fitratan har aadmi hai talib-e-amn-o-aman dushmanon ko bhi mohabbat ki nazar se dekhiye bhej di taswir apni un ko ye likh kar 'shakil' aap ki marzi hai chahe jis nazar se dekhiye