tulu-e-subh-e-safar ki ghaDi thi yaad aaya

tulu-e-subh-e-safar ki ghadi thi yaad aaya
judai rasta roke khadi thi yaad aaya

kisi ki khanda-labi se bhi khul nahin pai
girah to ab ke dilon mein padi thi yaad aaya

ye dil ke zakhm usi jang mein ata hue hain
jo tere nam pe khud se ladi thi yaad aaya

jo mera waqt mere hath aa nahin raha tha
meri kalai pe teri ghadi thi yaad aaya

gale mile the bichhadte samay jab aakhiri bar
wo sham donon pe kitni kadi thi yaad aaya

ragen badan ki yunhi to nahin khinchi hui thin
koi salib si dil mein gadi thi yaad aaya

hui hai sarf na jaane kahan kahan ai 'naim'
durun-e-chashm nami to badi thi yaad aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close