tum aae nahin to hum apni mahfil ko saja kar kya karte

tum aae nahin to hum apni mahfil ko saja kar kya karte
raunaq tum hi the mahfil ki auron ko bula kar kya karte

ghaeb the nazar se sahil bhi aur tut chuki thi kashti bhi
aise mein abas hum tufan se kashti ko bacha kar kya karte

apni hi zamin ke jab kitne asrar abhi bhi hain pinhan
ai logo batao to itna hum chand pe ja kar kya karte

the apne parae sab dushman aur lut rahe bhi the mil kar
aise mein bulate hum kis ko aur shor macha kar kya karte

paigham to un ka aaya hai tum shahr mein 'tishna' aa jao
sahra hai pasandida hum ko hum shahr mein ja kar kya karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close