wa chashm-e-tamasha lab-e-izhaar sila hai

wa chashm-e-tamasha lab-e-izhaar sila hai
koi pas-e-diwar mujhe dekh raha hai

mitti to meri mar bhi chuki zinda sada hai
main chup hun magar dard mera bol raha hai

ashkon ka hujum aaj jise dhund raha hai
wo dard ke dariya mein kahin dub gaya hai

kya zahr sa har samt fazaon mein ghula hai
jo chehra bhi dekho wahi utra sa hua hai

ab khun ke ashkon se chaman sinchna hoga
bhige hue mausam ne ye paigham diya hai

wa honton se kya bolun ki aankhen to sili hain
sahraon mein yaron ne mujhe chhod diya hai

guzri hui kal ke hue sikke sabhi khote
jo aaj ka sikka hai wahi qibla-numa hai

kab dahla hai aafat-e-zamana se mera dil
tufanon ko aana hai to darwaza khula hai

logon ne to suraj ki chaka-chaund ko puja
main ne to tere sae ko bhi sajda kiya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close