wafa karne aae jafa kar chale hamein khak mein wo mila kar chale ye kya tum ko sujhi ye kya kar chale ki chitwan se bismil bana kar chale mujhe qatl tegh-e-jafa kar chale ye kya kar chale tum ye kya kar chale milai kabhi tum ne jis se nigah use apna shaida bana kar chale teri rah mein misl-e-naqsh-e-qadam hum apne ko kya kya mita kar chale idhar aao baitho bhi aaghosh mein kahan mujh se aankhen chura kar chale tumhein pas agar baithna hi na tha to kyon hum se tum dil laga kar chale zaban par na lana tha harf-e-gila teri bazm se munh ki kha kar chale azal ka tumhein qaul hai yaad bhi ki aae the kya kah ke kya kar chale utha kar hamein tu ne ruswa kiya saza dil lagane ki pa kar chale mite saikdon kucha-e-ishq mein na kambakht dil sar utha kar chale wo baithe to baithe mere dil pe tir chale to qayamat bapa kar chale mujhe rote mein aa ke baad-e-fana wo mayyat par aansu baha kar chale wo thukra gae meri turbat ko kya ki fitne hazaron jaga kar chale hua un ke aage jo 'hamid' ka zikr to kis naz se muskura kar chale