waqai koi agar maujud hai

waqai koi agar maujud hai
phir to ye dukh umr-bhar maujud hai

bich ka rasta nahin baqi koi
ya khuda hai ya bashar maujud hai

us ko pane ki tawaqqo hai bahut
jab talak ye chashm-e-tar maujud hai

us ke milne hi se pahle jaane kyun
us ko kho dene ka dar maujud hai

koi manzil kaise tanha sar karen
ham-safar mein ham-safar maujud hai

aadat-e-khana-kharabi hai 'jamal'
warna achchha-khasa ghar maujud hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close