parastish-e-gham ka shukriya kya tujhe aagahi nahin tere baghair zindagi dard hai zindagi nahin dekh ke khushk o zard phul dil hai kuchh is tarah malul jaise meri khizan ke baad daur-e-bahaar hi nahin daur tha ek guzar chuka nasha tha ek utar chuka ab wo maqam hai jahan shikwa-e-be-rukhi nahin ishrat-e-khuld ke liye zahid-e-kaj-nazar jhuke mashrab-e-ishq mein to ye jurm hai bandagi nahin tere siwa karun pasand kya teri kaenat mein donon jahan ki nematen qimat-e-bandagi nahin lakh zamana zulm dhae waqt na wo khuda dikhae jab mujhe ho yaqin ki tu hasil-e-zindagi nahin dil ki shaguftagi ke sath rahat-e-mai-kada gai fursat-e-mai-kashi to hai hasrat-e-mai-kashi nahin ashk-e-rawan ki aab-o-tab kar na awam mein kharab azmat-e-ishq ko samajh girya-e-gham hansi nahin arsa-e-furqat-o-firaq aisa tawil to na tha bhul rahe ho tum mujhe main koi ajnabi nahin zakhm pe zakhm kha ke ji apne lahu ke ghunt pi aah na kar labon ko si ishq hai dil-lagi nahin ek wo raat thi ki jab tha mere ghar wo mahtab ek ye raat hai ki ab chand hai chandni nahin muzhda ki na-murad-e-ishq teri ghazal ka hai wo rang wo bhi pukar uthe ki ye sehr hai shairi nahin