sajal ki shor zaminon mein aashiyana kare na jaane ab ke musafir kahan thikana kare bas ek bar use padh sakun ghazal ki tarah phir us ke baad to jo gardish-e-zamana kare hawaen wo hain ki har zulf pechdar hui kise dimagh ki ab aarzu-e-shana kare abhi to raat ke sab nigah-dar jagte hain abhi se kaun charaghon ki lau nishana kare suluk mein bhi wahi tazkire wahi tashhir kabhi to koi ek ehsan ghaebana kare main sab ko bhul gaya zakhm-e-mundamil ki misal magar wo shakhs ki har baat jarehana kare