yaad-e-ayyam ki yan tark-e-shakebai tha

yaad-e-ayyam ki yan tark-e-shakebai tha
har gali shahr ki yan kucha-e-ruswai tha

itni guzri jo tere hijr mein so us ke sabab
sabr marhum ajab monis-e-tanhai tha

tere jalwe ka magar ru tha sahr-e-gulshan mein
nargis ek dida-e-hairan tamashai tha

yahi zulfon ki teri baat thi ya kakul ki
'mir' ko khub kiya sair to saudai tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close