ye kaun mane ki na-ashna-e-raaz hai tu magar yahi ki khudawand-e-be-niyaz hai to us aastan pe jo sar hai to sarfaraaz hai tu niyaz-mandi-e-alam se be-niyaz hai tu samajh mein aae na aae ada-e-chaaragari mujhe to hai ye bharosa ki chaarasaz hai tu fana nahin hai ajal umr-e-jawedani hai wajud hai wo haqiqat ki jis ka raaz hai tu qubul kar meri dad ai meri siyah-bakhti harif-e-zulmat-e-tanhai-e-daraaz hai to nawazishen teri mubham sahi magar ai dost ye e'tibar hai kya kam ki dil-nawaz hai tu bade marahil-e-dushwar se guzarna hai niyaz jada hai aur manzil-e-niyaz hai tu ye manta hai zamana ki main hun nazish-e-sabr ye raaz koi na samjha ki mera naz hai tu hai sar khushi mein tujhe pas-e-gham-kashan 'mani' ajib rind-e-khuda-tars-o-pak-baz hai tu