ye surmai aafaq ye shamon ke dhundalke

ye surmai aafaq ye shamon ke dhundalke
aa jao bhi yaadon ke jharokon se nikal ke

diwane chale aate hain sahra se nikal ke
rakh den na kahin nazm-e-gulistan hi badal ke

phulon ki tarah un ki hifazat hai zaruri
ye aaj ke bachche hi bade hote hain kal ke

hai jab to tahammul ki koi aah na nikle
ek ashk ka qatra meri palkon se na dhalke

do rotiyan izzat se jo mil jaen to bas hai
darwaze pe le jae na waqt ahl-e-duwal ke

jaen to kahan jaen tere chahne wale
haalat ke tapte hue sahra se nikal ke

hum dast-daraazi ke to qail nahin saqi
hisse mein hamare bhi agar mai ho to chhalke

fankar ki munh bolti taswir hai fan bhi
tum kya ho bata dete hain ashaar ghazal ke

kafi hai hamare liye mitti ke gharaunde
hum khak-basar ahl nahin 'taj' mahal ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close