zindagi dasht mein jab chhod ke aati hai hamein teri yaadon ki mahak dhundh ke lati hai hamein rakh de aankhon pe meri ghaflaton wala chashma is se duniya badi behtar nazar aati hai hamein ek hi tal mein har nabz ka chalte rahna tum na samjhoge ye tartib daraati hai hamein dard-e-tanhai tadap soz khala bechaini lafz kya kya ye mohabbat bhi sikhati hai hamein jitni mushkil se nibhate hain mohabbat hum tum utni mushkil se mohabbat bhi nibhati hai hamein