zindagi hi zindagi chaaron taraf hai aankh ho to raushni chaaron taraf hai kya zamin kya aasman kya dasht-o-dariya aadmi ki bartari chaaron taraf hai ek markaz par thaharta hi nahin hai zehn ki aawargi chaaron taraf hai dekhiye to hai ujala hi ujala sochiye to tirgi chaaron taraf hai aankh se ojhal tera chehra hai lekin ek alamat si teri chaaron taraf hai kuchh na kuchh hai aaj-kal mein hone wala ek mukammal khamushi chaaron taraf hai chhod kar jate ho ghar 'masum' sahab soch lo duniya yahi chaaron taraf hai