naf katti hai zakhm jalta hai khauf dhadkan ke sath chalta hai har rag-e-jaan mein sarsaraata hai sans ke sath aata jata hai khaal ko chhaal se milati hai sansani raungte banati hai taq-e-jaan mein charagh rakhta hai khauf-e-wahshat ka tel chakhta hai sajda-e-gham mein gir gaya zahid sarsaraati jabin mein khauf liye ho gaya angbin se namkin zaiqa aastin mein khauf liye sanp lashkar ke sath chalta hai memana maysara mein khauf liye husn ghamze ke dam se qaem hai apni har har ada mein khauf liye zindagi ek farsh hai jis par dar uthaen to haul bichhta hai shahrah-e-hayat ke upar khauf ka tarkol bichhta hai mazhab ijad karta rahta hai mabad aabaad karta rahta hai ye to andar ki sang sari hai khauf barbaad karta rahta hai fahm o danish ke zard saudagar waswason ki kapas bechte hain ruh ki market un ki hai jo aqide hiras bechte hain zindagi ham-safar hai lekin khauf raste mein utar deta hai parcha-e-jaan ke har shumare mein wahima ishtihaar deta hai maut khud marti nahin jitna maut ka khauf mar deta hai