chalo us koh par ab hum bhi chadh jaen jahan par ja ke phir koi bhi wapas nahin aata suna hai ek nida-e-ajnabi bahon ko phailae jo aae us ka istiqbaal karti hai use tarikiyon mein le ke aakhir dub jati hai yahi wo rasta hai jis jagah saya nahin jata jahan par ja ke phir koi kabhi wapas nahin aata jo sach puchho to hum tum zindagi bhar haarte aae hamesha be-yaqini ke khatar se kanpte aae hamesha khauf ke pairahanon se apne paikar dhanpte aae hamesha dusron ke sae mein ek dusre ko chahte aae bura kya hai agar us koh ke daman mein chhup jaen jahan par ja ke phir koi kabhi wapas nahin aata kahan tak apne bosida badan mahfuz rakkhenge kisi ke nakhunon hi ka muqaddar jag lene do kahan tak sans ki dori se rishte jhut ke bandhen kisi ke panja-e-be-dard hi se tut jaane do phir is ke baad to bas ek sukut-e-mustaqil hoga na koi surkh-ru hoga, na koi munfail hoga