ism ban kar tere honton se phisalta hua main barf-zaron mein utar aaya hun jalta hua main us ne paimane ko aankhon ke barabar rakkha us ko achchha nahin lagta tha sambhalta hua main raat ke pichhle pahar chand se kuchh kam to na tha din ki surat teri banhon se nikalta hua main tere pahlu mein zara der ko susta lunga tujh tak aa pahuncha agar nind mein chalta hua main meri rag rag mein lahu ban ke machalti hui tu teri sanson ki hararat se pighalta hua main wo kabhi dhup nazar aae kabhi dhund lage dekhta hun use har rang badalta hua main