aa gae hain qarin-e-dosh miyan ain-mumkin rahe na hosh miyan baat sari hi rahguzar ki hai kya musafir ka is mein dosh miyan lamha-e-wasl mein hawas darkar ishq kya hai siyah-posh miyan is qadar rabte badhae gae rah gae zabte khamosh miyan kya sitam hai hamari basti mein gul hue kitne gul-farosh miyan ab kahan hai sada-e-zakhm-e-jigar ab kahan hai hawa-e-hosh miyan zindagi sar-barahna hai 'iqrar' aadamiyyat magar khamosh miyan