zakhm-e-dil jab bhi mahakta hai bhala lagta hai silsila 'ahd-e-guzishta hi se ja lagta hai ek hi shakhs ne ek war kiya tha lekin rang har shakhs ke chehre ka uda lagta hai mujh ko ma'lum na tha aise bhi din aaenge koi sach bol raha ho to bura lagta hai apne ahbab se kuchh aisi bani hai ki hamein koi but koi sanam koi khuda lagta hai har naya chehra nai baat naya afsana jo kisi ne na kaha aur na suna lagta hai zehn mein aate hain insan ki udasi ke khayal jab bhi pahlu mera bistar se zara lagta hai kaun kis haal mein kis fikr mein kis soch mein hai ab na chehron se na baaton se pata lagta hai ghaur se dekhiye 'iqbaal-umar’ ka chehra raat-bhar chand sitaron se lada lagta hai