main jabr-e-shauq mein kya kaghazon pe likhta raha

main jabr-e-shauq mein kya kaghazon pe likhta raha
teri gali ki hawa kaghazon pe likhta raha

tere jamal ki kirnen tere khayal ki lau
main raushni ka pata kaghazon pe likhta raha

husul-e-rizq bhi lazim tha aur mohabbat bhi
main nan-e-shab ka gada kaghazon pe likhta raha

rida-e-ishq jise bhi ata hui tujh se
faqir ban ke tera kaghazon pe likhta raha

tere firaq ka suraj mujhe jalata raha
main sher kahta raha kaghazon pe likhta raha

mere labon se kabhi aah tak nahin nikli
bas apna karb-o-bala kaghazon pe likhta raha

shuur-e-zat ka irfan pa liya jis ne
wo misl-e-shama jala kaghazon pe likhta raha

na jaane kitni duaen hi main ne mangin aur
jo mangni thi dua kaghazon pe likhta raha

yahi zamana mujhe kal kahega shair sa
na jaane kaun tha kya kaghazon pe likhta raha

tamam raat hi aankhon mein kat gai 'tariq'
main apni man ki dua kaghazon pe likhta raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close