aa gaya ho na koi bhes badal kar dekho do qadam sae ke hamrah bhi chal kar dekho mehman raushniyo sakht andhera hai yahan panw rakhna meri chaukhat pe sambhal kar dekho kabhi aisa na ho pahchan na pao khud ko bar bar apne irade na badal kar dekho abr aaega tabhi pyas bujhane pahle reg-e-sahra ki tarah dhup mein jal kar dekho din ki dekhi hui har shakl badal jaegi raat ke sath zara ghar se nikal kar dekho mom ho jaega patthar sa ye dil sine mein lamha bhar ko kisi pahlu mein pighal kar dekho umr-e-rafta ko kahan dhundh rahe ho 'makhmur' us ke kuche mein milegi wahin chal kar dekho