naqab chehre se us ke kabhi sarakta tha to kale baadalon mein chand sa chamakta tha use bhi khitta-e-sarsabz mil gaya shayad wo ek abr ka tukda jo kal bhatakta tha wo mere sath jo chalta tha ghar ke aangan mein to mahtab bhi palken bahut jhapakta tha ye kah ke barq bhi barsat mein bahut roi ki ek ped chaman mein ghazab mahakta tha gham-e-hayat ne bakhshe hain sare sannate kabhi hamare bhi pahlu mein dil dhadakta tha jo ho gai hai kabhi abr ki nawazish bhi to saeban kai din talak tapakta tha akele par utar ke bahut hai ranj mujhe main us ka bojh utha kar bhi tair sakta tha