chehron ko to padhte hain mohabbat nahin karte kya log hain zakhmon ki himayat nahin karte zanjir ki jhankar se aabaad hain zindan hum lazzat-e-guftar ki hasrat nahin karte khush-rang ujalon ki barasti hui bunden girti hui diwar se nafrat nahin karte patthar ki fasilon mein unhen nasb kiya jae jo apni riwayat se baghawat nahin karte wo meri talab ho ki tera lams-e-badan ho nashshe kabhi andaza-e-wahshat nahin karte